sawan ka mahina bhi hai barish bhi nahin hai

sawan ka mahina bhi hai barish bhi nahin hai
sukhe hue kheton pe nawazish bhi nahin hai

ab sar-ba-gareban hai mere shahr ka mausam
ahbab bhi khamosh hain sazish bhi nahin hai

har mod pe milti hain tahayyur ki lakiren
pahle ki tarah tarz-e-nigarish bhi nahin hai

har gam pe tufan ka tasalsul hai mere sath
pairon mein abhi tak mere laghzish bhi nahin hai

main rakht-e-safar bandh ke nikla to hun ghar se
har gosha-e-dil mein koi khwahish bhi nahin hai

sakit hai faza waqt ki masmum hawa se
titli ke paron mein koi jumbish bhi nahin hai

mehnat ka sila kaise karega wo muqarrar
'khalid' mere hamrah sifarish bhi nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close