wo shakhs yun nigah mein nigah dal kar gaya bujhi bujhi si zindagi meri bahaal kar gaya wo sada-lauh tha magar ghazab ki chaal kar gaya nahin jawab jis ka mujh se wo sawal kar gaya mujhe to apni justuju us aastan pe le gai wo dushman-e-wafa na jaane kya khayal kar gaya aa gaya to zulmat-e-gham-e-firaq chhat gai jo mehr-o-mah na kar sake tera jamal kar gaya shikan shikan jabin na kar agar umid-e-khair par faqir tere dar pe aa gaya sawal kar gaya qadam qadam pe but-kade rah-e-haram mein the magar mera bachao zikr-e-rabb-e-zul-jalal kar gaya