wo sher sun ke mera ho gaya diwana kya main sach kahunga to manega ye zamana kya kabhi to aana hai duniya ke samne us ko ab us ko dhundhne dair-o-haram mein jaana kya suna hai kaam chalate ho tum bahanon se udhaar doge mujhe bhi koi bahana kya tumhaari yaadon ki garmi hai sard raaton mein lihaf aise mein ab odhna bichhana kya jalega jitna bhi duniya ko raushni dega charagh-e-ilm-o-hunar hai ise bujhana kya tabah karne pe aae to phir nahin sunti wo narm-rau hai nadi ka magar thikana kya