wo sone chandi na shishe ke ghar mein rahta hai

wo sone chandi na shishe ke ghar mein rahta hai
magar hamare dil-e-mo'tabar mein rahta hai

main ek faqir hun aisa dar-e-sakhawat ka
amir-e-shahr bhi mere asar mein rahta hai

nazar milate nahin hum se chand aur suraj
kisi ka nur hamari nazar mein rahta hai

kisi ko thes bhi lagti hai chikh uthte hain
jahan ka dard hamare jigar mein rahta hai

hamare ghar ka hi kirdar koi niklega
jo aayaton ke bhi zer-o-zabar mein rahta hai

sarapa nur ka paikar hai jo wahi khurshid
ab intizar-e-tulua-e-sahar mein rahta hai

tumhaari jit takabbur ka be-yaqin paisa
kisi gharib ke dast-e-hunar mein rahta hai

labon pe jis ke zamanon ki pyas hai raqsan
ajib shakhs hai pani ke ghar mein rahta hai

suna hai main ne wahan maut bhi nahin jati
koi ilaqa-e-khairul-bashar mein rahta hai

samundaron ki jo basti baha ke le jae
ki itna pani meri chashm-e-tar mein rahta hai

tumhin batao wahan phir sukun kyon na mile
hamara dil dil-e-kaba-basar mein rahta hai

na jaane kab kahan shamshir ise banana pade
mera qalam mere rakht-e-safar mein rahta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close