pareshan hai sitamgar hausla gum ho gaya hai

pareshan hai sitamgar hausla gum ho gaya hai
gulon mein khanjar-e-dast-e-jafa gum ho gaya hai

nihan hai ek nuqte mein nizam-e-zindagani
wajud-e-harf to hai tarjuma gum ho gaya hai

chale aao hamari khushbuon ke raste par
agar shahr-e-mohabbat ka pata gum ho gaya hai

zamanat mein kisi ki de diya hai mutmain hain
jahaz-e-arzu udta hua gum ho gaya hai

andhera ho gaya tha sahn-e-sajda mein hamare
jabin se nayyar-e-khak-e-shifa gum ho gaya hai

qaside husn-e-yusuf ke jo ab tak padh raha tha
jamal-e-ashk mein wo aaina gum ho gaya hai

nigah-e-chashm-e-irfan-o-shuur-e-agahi de
yahan hum aql walon ka khuda gum ho gaya hai

tumhaari sarhad-e-imkan chhune ko gaya tha
hamara tair-e-fikr-e-rasa gum ho gaya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close