wo soz-o-saz wo naghma khayal-o-khwab hua mita ke hum ko zamana bahut kharab hua wo shakhs mom ka chehra lagae phirta tha wo aaj dhup mein nikla to be-naqab hua harim-e-naz se aai hai qahqahon ki sada mere sawal ka shayad yahi jawab hua hazar bar tera shukriya gham-e-dauran hazar bar hamara hi intikhab hua khuda gawah koi mujh sa khush-nasib nahin salib-o-dar pe jab bhi hua hisab hua chhua jo phul to 'shadan' ulajh gae kante gulon se hath lagana bhi ek azab hua