mera gham mere KHayalat hi sab kuchh to nahin

mera gham mere khayalat hi sab kuchh to nahin
un ki mahfil mein meri baat hi sab kuchh to nahin

umr ek shab ki nahin phir bhi mujhe hijr ki raat
ye guman hota hai ye raat hi sab kuchh to nahin

hon na bande to khudai ki haqiqat kya hai
hum bhi ek shai hain teri zat hi sab kuchh to nahin

meri mushkil meri duri ka bhi ehsas huzur
aap ki bazm ke auqat hi sab kuchh to nahin

batn-e-farda mein bhi tamir ke imkan hain bahut
aaj ki surat-e-haalat hi sab kuchh to nahin

lije ab apne gareban ki khabar bhi 'shadan'
un ke daman ki mudaraat hi sab kuchh to nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close