wo sun kar hur ki tarif parde se nikal aae kaha phir muskura kar husn-e-zeba is ko kahte hain ajal ka nam dushman dusre mani mein leta hai tumhaare chahne wale tamanna is ko kahte hain mere madfan pe kyun rote ho aashiq mar nahin sakta ye mar jaana nahin hai sabr aana is ko kahte hain namak bhar kar mere zakhmon mein tum kya muskuraate ho mere zakhmon ko dekho muskurana is ko kahte hain zamane se adawat ka sabab thi dosti jin ki ab un ko dushmani hai hum se duniya is ko kahte hain dikhate hum na aaina to ye kyun kar nazar aata bashar huron se achchha tum ne dekha is ko kahte hain