zae nahin hoti kabhi tadbir kisi ki meri si khudaya na ho taqdir kisi ki nahaq mein bigad jaane ki aadat ye ghazab hai sabit to kya kijiye taqsir kisi ki qasid ye zabani teri baaten to suni hain tab jaanun ki la de mujhe tahrir kisi ki be-sakhta pahron hi kaha karte hain kya kya hum hote hain aur hoti hai taswir kisi ki aisi to 'nizam' un ki na aadat thi wafa ki wo jaane na jaane ye hai tasir kisi ki