wo tabassum tha jahan shayad wahin par rah gaya meri aankhon ka har ek manzar kahin par rah gaya main to ho kar aa gaya aazad us ki qaid se dil magar is jald-bazi mein wahin par rah gaya kaun sajdon mein nihan hai jo mujhe dikhta nahin kis ke bose ka nishan meri jabin par rah gaya hum ko aksar ye khayal aata hai us ko dekh kar ye sitara kaise ghalati se zamin par rah gaya hum labon ko khol hi kab pae us ke samne ek naya ilzam phir dekho hamin par rah gaya