ahl-e-ishq ki hasti kya ajib hasti hai marg-e-na-gahani ko zindagi tarasti hai nam hai sukun jis ka jins wo nahin milti ashk jis ka hasil hain wo khushi to sasti hai jis jagah mohabbat se husn-o-ishq milte hain kaun si wo duniya hai kaun si wo basti hai sau tarah rulati hai bhul kar agar hansiye roiye to ye duniya khilkhila ke hansti hai kya zarur pi kar hi hum surur mein aaen wo nazar salamat hai be-piye hi masti hai jalwa-ha-e-rang-o-bu dil mein kya jagah paen aankh mein jo basta hai dil to us ki basti hai dusre ke saghar par jo nazar nahin rakhte un ki mai-parasti mein shan-e-haq-parasti hai kis ki mai-farosh aankhen bas gain tasawwur mein be-niyaz jam-o-mai apni mai-parasti hai dil unhen tarasta hai jab wo dur hote hain jab qarib aate hain aankh unhen tarasti hai hum ne ishq-o-ulfat mein wo fareb khae hain jin ki dil-farebi ko zindagi tarasti hai sadqe aasman-jahi tere khaksaron par rashk-e-sad-bulandi hai ishq mein jo pasti hai be-sabaat pata hun aksar un umidon ko hae jin umidon par inhisar-e-hasti hai jab zara khayal aaya hosh ho gae rukhsat ai 'rishi' un aankhon mein kis bala ki masti hai