wo tamasha aap ki jadu-bayani se hua ek sannata hamari be-zabani se hua ek pal mein uth gae parde kai asrar se wo na hota jo zara si bad-gumani se hua badh gai kuchh taqat-e-guftar bhi raftar se shor paida mauj-e-dariya mein rawani se hua ud gai khushbu hawa mein dhup rangat le udi faeda kya khak-e-gul ki pasbani se hua jo bhi hona tha hua lekin ye hairat hai 'shahab' aap jaise mehrban ki mehrbani se hua