dua ka tuta hua harf sard aah mein hai teri judai ka manzar abhi nigah mein hai tere badalne ke ba-wasf tujh ko chaha hai ye e'tiraf bhi shamil mere gunah mein hai azab dega to phir mujh ko khwab bhi dega main mutmain hun mera dil teri panah mein hai bikhar chuka hai magar muskura ke milta hai wo rakh rakhao abhi mere kaj-kulah mein hai jise bahaar ke mehman khali chhod gae wo ek makan abhi tak makin ki chah mein hai yahi wo din the jab ek dusre ko paya tha hamari sal-girah thik ab ke mah mein hai main bach bhi jaun to tanhai mar dalegi mere qabile ka har fard qatl-gah mein hai