wo tanha mere hi darpai nahin hai kisi se khush ho ye bhi tai nahin hai yahan ki masnaden sab ke liye hain ye mera ghar hai qasr-e-kai nahin hai abhi ghuncha abhi gul aur abhi tukhm to kyun kahiye ki hasti hai nahin hai taghayyur irtiqa dastur-e-fitrat na badle jo wo koi shai nahin hai magas ki khak-e-pa nutfa enab ka kashid-e-gul magas ki qai nahin hai wo kaisi shakhsiyat jis mein na ho ruh wo kaisa shisha jis mein mai nahin hai wo kya jharna na jis se rag phute wo kaisa naghma jis mein lai nahin hai wo phika waz jis mein karb madum wo jhuta saz jis mein nai nahin hai wo kaisi bazm jis mein sab hon gunge wo jannat kya jahan har shai nahin hai wo kya 'wamiq' jo nichla baith jae wo kaisa fasla jo tai nahin hai