wo taza rang-e-shafaq wo bahaar ki KHushbu

wo taza rang-e-shafaq wo bahaar ki khushbu
wo kachchi galiyon mein udte ghubar ki khushbu

wo tuti tuti si chaukhat wo khasta khasta kiwad
aur un mein mazi ke lail-o-nahaar ki khushbu

wo gate gate se mausam wo dopahar ka sukut
wo sada baadalon mein sau singar ki khushbu

tumhaare phul se chehre ki jab bani taswir
khizan ke daur mein aai bahaar ki khushbu

saba guzarti hui aai mere ganw se kya
kahan se lai hai bele ke haar ki khushbu

wo pyari baaten ladakpan ki wo badon ki hansi
wo mamta ki sugand aur pyar ki khushbu

chamakte shahr mein yun ganw yaad aata hai
ke jaise dasht mein gesu-e-yar ki khushbu

zamana ho gaya garche watan ko chhode hue
main aankh mundun to aae hai pyar ki khushbu

wo olti ke tapakte hue shararon mein
hamare sahn hi ke har singar ki khushbu

ye meri ghazlon mein jo rang iztirab ka hai
isi se niklegi 'anjum' qarar ki khushbu


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close