ai barq-e-tajalli fikr hai ye kya tera bharam rakh paungi

ai barq-e-tajalli fikr hai ye kya tera bharam rakh paungi
mushtaq to hai dil jalwon ka aankhen wo kahan se laungi

ushshaq ki mahfil khub magar kya kaam mera jab tu hi nahin
daman ko sametungi apne khamoshi se uth jaungi

dekho to shikan peshani ki ehsas karo to uljhan ka
kham aa bhi gae kakul mein agar kahe ko inhen suljhaungi

sab husn ke aashiq hain tere kafir ka bhi tu waiz ka bhi tu
bas ab ye bata ai harjai kya main hi tera gham khaungi

bas thodi si barish husn-e-azal tufan ki zarurat hai hi nahin
patthar to nahin ki bah na sakun khashak hun main bah jaungi

ek aalam-e-jazb-o-masti hai mat puchh tamanna 'kausar' ki
kuchh aur zara badh jae junun har taur teri ho jaungi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close