wo tirgi-e-shab hai ki ghar laut gae hain us dar se abhi najm-o-qamar laut gae hain ai mausam-e-gul tu abhi aaya hai yahan par jab shakh-o-shajar dida-e-tar laut gae hain shab bhar to teri yaad ka mela sa laga tha is bhid mein kuchh khwab-e-sahar laut gae hain hum hain ki tere sath chale jate hain warna sab log shuruat-e-safar laut gae hain jab sham ke sae shajar-o-shakh se utre hum takte hue rah-guzar laut gae hain aae the bahut taish mein wo mujh ko dubone dekha jo mera azm bhanwar laut gae hain sannate tujhe malne ko aae the sawere roka tha bahut hum ne magar laut gae hain bas hum hain tere shahar mein thahre hue ab tak sab tajir-e-marjaan-o-guhar laut gae hain ab ke to ye sahra bhi sahaara nahin deta diwane sabhi khak-ba-sar laut gae hain khwabon ko 'salim' aankh mein rukna hi nahin tha wo kar ke mujhe zer-o-zabar laut gae hain