zamin se utthe hain ya aasman se aae hain ye log shahr mein jaane kahan se aae hain unhin ko haq hai bahaaron ke khair maqdam ka guzar ke jo kisi daur-e-khizan se aae hain hadaf koi ho kahin ho yaqin hai mujh ko ye sare tir usi ki kaman se aae hain wahan se laut ke aane ka dil na karta tha palat ke shahr mein apne jahan se aae hain ye kaun log hain milne ke waste hum se idhar udhar se yahan se wahan se aae hain