wo to gaya ab apni ana ko samet le ai gham-gusar dast-e-dua ko samet le baalon mein apne dal le ab khak-e-ku-e-yar banhon mein us gali ki hawa ko samet le mitti ki ek lakir bhi kah degi dastan chalne ka shauq hai to rida ko samet le in aablon ki raushni bhatkegi shahr mein ai kucha-gard gardish-e-pa ko samet le lafzon ko tark kar de ki in ko nahin sabaat aankhon mein aaj apni wafa ko samet le bas ek chup hi tere labon par saji rahe bas apne dil mein sail-e-bala ko samet le 'khalid' kabhi to tazkira-e-jaan suna hamein apni sada mein khauf-e-sada ko samet le