bhik le kar hi agar dan kiya jaega apni hi zat ka nuqsan kiya jaega aap ne fikr ki bharpur himayat ki hai aap ko sahib-e-iman kiya jaega aap kyun sach ke tahaffuz mein khade hain ab tak aap ko roz pareshan kiya jaega hijr ke zakhm to ruswa hi karenge mujh ko aur phir chaak gareban kiya jaega apni aankhon mein basa kar ke tera aks-e-jamil muddaton tak tujhe mehman kiya jaega is sabab se kabhi nazren na mila pae to tujh pe ye soch ke ehsan kiya jaega kaam mushkil hai bharosa hai magar 'rahi' ko us ke insan ko insan kiya jaega