wo umangen hain na wo dil hai na ab wo josh hai husn bar-e-chashm hai naghma wabaal-e-gosh hai main kahun to kya kahun ab wo kahe to kya kahe de ke dil khamosh hun wo le ke dil khamosh hai ai wafur-e-shadmani ye samajh lene to de kya hamin hain jis se wo ham-bazm ham-aghosh hai is taraf dil par jigar par us taraf rahta hai hath apni har karwat mein ek mashuq ham-aghosh hai tar is ka tutne pae na 'kaifi' hashr tak daman-e-ashk-e-nadamat jurm-e-isyan-posh hai