wo umangen nahin ab wo dil-e-nashad nahin waqia khwab sa kuchh yaad hai kuchh yaad nahin kaun se zarre pe duniya-e-gham aabaad nahin dil-e-barbaad hamara dil-e-barbaad nahin wo ho duniya ki lahad ya ki ho roz-e-mahshar mubtala-e-gham-e-jaanan kahin aazad nahin tu jo sargarm-e-tamasha ho dam-e-mashq-e-sitam kis ko phir shauq-e-shahadat sitam-ijad nahin pas hai zabt-e-mohabbat ka sitamgar warna ek nafas bhi mera begana-e-fariyaad nahin ab to har samt nazar aate hain jalwe jalwe be-khudi mein koi parda dil-e-nashad nahin kawish-e-dam-o-qafas mere liye thi goya warna gulshan hai wahi aaj bhi sayyaad nahin tabish-e-husn se ek be-khudi chhai pahle baad us ke hua phir kya ye mujhe yaad nahin mar ke 'afqar' yahan milti hai hayat-e-jawed aastan yar ka hai jannat-e-shaddad nahin