ghata diya rutba har hasin ka mita diya rang hur-e-in ka nahin hai ye chand chaudhwin ka shabab ka mere mah-jabin ka ye raat hai wasl ki meri jaan bhare hain dil mein hazaron arman nahin na nikle zaban se han han are ye mauqa nahin nahin ka tabah wahshat mein hun main dar dar abhi bigad jae ye bana ghar jo dil mein rakkhun tujhe sitamgar to dil na rakkhe mujhe kahin ka na qatl se mere hath khincho lahu baha kar bahaar dekho padegi ud kar jo chhint is ki banegi wo phul aastin ka sitam tha bachpan ka wo zamana ghazab wo dil ka pasand aata wo god mein meri lot jaana machal machal kar kisi hasin ka tumhin se ru-e-zamin moattar tumhin se sath-e-falak munawwar tumhin to ho phul yasmin ka tumhin to ho chand chaudhwin ka udhar saba ne ye gul khilaya chaman mein kaliyon ko gudgudaya idhar hansi ne sitam ye dhaya ki munh liya chum us hasin ka ye raat itni jo badh gai hai siyahi itni jo chadh gai hai kahin khula hai zarur joda kisi ke gesu-e-ambarin ka jo ghair se yar tu mila hai to dekh kaisa dubo raha hai tujhe mere aansuon ka dariya mujhe pasina teri jabin ka na bahr jari sahab se hai na chah labrez aab se hai wo daman-e-tar ka ek laqab hai ye nam hai meri aastin ka jo dekh le us ki surat insan agar ho kafir to lae iman jamal kya hai but-e-hasin ka kamal hai surat-afrin ka na shauq-e-nazzara mujh se puchho ye kah ke sota hun roz shab ko uthun jo main subh ko ilahi to munh dikhana kisi hasin ka kuchh aisi ki main ne jabha-sai ki mit gai bakht ki burai mila jo us dar se dagh-e-sajda sitara chamka meri jabin ka zaban se ho shukr ada kahan tak bada hi tha dil-nawaz nawak kuchh is ada se jigar pe baitha maza mila yar-e-ham-nashin ka phira adam se na koi hamdam ki haal yaron ka puchhte hum ajib dilchasp hai do-alam ki jo gaya ho gaya wahin ka araq araq hai jo ru-e-gul-gun ye khub mauqa hai ab na chaukun main sarnawisht apni dho hi dalun pasina le kar teri jabin ka 'jalil' kya baat is sukhan ki ghazal mein hai tazgi chaman ki jo sher hai shakh nastaran ki jo lafz hai phul yasmin ka