wo utthe hain tewar badalte hue chalo dekhen talwar chalte hue na dekha tere daur mein ai falak nihaal-e-tamanna ko phalte hue hain angusht-hairat-ba-dandan masih wo murde jilate hain chalte hue chalo mai-kada mahfil-e-waz se ye ammame dekho uchhalte hue zaban par tera nam jab aa gaya to girte ko dekha sambhalte hue mohabbat mein pae har ek rah se hazaron hi raste nikalte hue hain kya un ki zulfen ye ai dil na puchh chhalawe ko dekha hai chhalte hue bane juzw-e-tan jab chubhe khar-e-gham ye kante na dekhe nikalte hue kiya kuchh na jab tak raha ikhtiyar jahan se chale hath malte hue gham-e-ishq paida hua mere sath use guzri ek umr palte hue ruke kis tarah tegh-e-abru ka war suna hai ajal ko bhi talte hue in aaankhon ke fitnon ka kya puchhna ye jadu hain lakhon mein chalte hue nahin shama-e-ariz pe khat jama hain hazaron hi parwane jalte hue fasane hain mashhur ushshaq ke kati umr furqat mein jalte hue jawan marte dekhe bahut na-murad suna hoga arman nikalte hue nahin khel chalna rah-e-ishq mein zara panw rakhna sambhalte hue jo mashhur sabit qadam the 'habib' unhen hum ne dekha phisalte hue