wo wafa ko jafa samajhte hain hum jafa ko wafa samajhte hain kya bataen wo kya samajhte hain khud ko shayad khuda samajhte hain ai buto tum ko kya samajhte hain jo khuda ko khuda samajhte hain kya kahen tum ko kya samajhte hain banda-parwar khuda samajhte hain apni khalwat mein dakhl den kyunkar wo mera muddaa samajhte hain kyon hon mamnun hazrat-e-isa dard ko jo dawa samajhte hain jin ko duniya mein kuchh nahin aata ab unhen peshwa samajhte hain aah-o-fariyaad-o-nala-o-shewan aashiqi ki saza samajhte hain jaur-e-gardun ko sach agar puchho aap ki ek ada samajhte hain mai-kade mein ilaj hai us ka sab jise la-dawa samajhte hain badtarin-e-gunah duniya mein hum to kibr-o-riya samajhte hain aise khush-fahm bhi hain duniya mein shaikh ko parsa samajhte hain rind pir-e-mughan ko ai 'shaghil' mai-kade ka khuda samajhte hain