nahin hota ubur-e-bahr-e-gham aasan nahin hota kabhi kashti nahin hoti kabhi saman nahin hota jise fikr-e-maal-e-gardish-e-dauran nahin hota use insan nahin kahte hain wo insan nahin hota nahin hota dil-e-nashad ka darman nahin hota kisi surat nahin hota kisi unwan nahin hota munawwar jis ke dil mein aariz-e-jaanan nahin hota meri danist mein wo hafiz-e-quran nahin hota yahan dil hi nahin rakhte ki armanon ka jhagda ho khuda jaane ki kya hota hai kya arman nahin hota tariqat ki khabar kya us ko wo kya marifat jaane kabhi waiz sharik-e-mahfil-e-rindan nahin hota ye pichhli shab ke aansu bhi ajab tasir rakhte hain kabhi mahrum-e-rahmat dida-e-giryan nahin hota numayan hun gunahgaron mein lekin phir bhi nadim hun teri shan-e-karimi ke koi shayan nahin hota sabhi kuchh hai gham-o-andoh-o-yas-o-hasrat-o-arman tera aashiq gada-e-be-sar-o-saman nahin hota teri rahmat ke moti ban ke barse jab kabhi barse sarishk-alud isyan-kar ka daman nahin hota hamesha aafiyat hi bais-e-afat hoti hai jahan sahil nahin hota wahan tufan nahin hota gada-e-mai-kada hun do-jahan hain mere daman mein mujhe to shikwa-e-kotahi-e-daman nahin hota nahin milta jise faiz-e-janab-e-saqi-e-kausar mayassar us ko 'shaghil' baada-e-irfan nahin hota