wo zakat-e-daulat-e-sabr bhi mere chand ashkon ke nam se wo nazar-guzar ki sharab thi jo chhalak gai mere jam se meri chashm-e-shauq mein kaif-e-dil jo bhara tha khun ke nam se wahi shoala ban ke bhadak utha wahi phut nikla hai jam se koi raat aankhon mein kat li koi tare gin ke guzar di yahi marte marte hawas rahi main kabhi to so rahun sham se badi dil-fareb hai dastan tera zikr aur mera bayan wo dahan dahan wo zaban zaban jo hai aashna tere nam se mujhe kya zarurat-e-chaara-gar isi ek dawa mein hain do asar kabhi mar-mita tere nam par kabhi ji utha tere nam se mujhe waiz apni lagi hai dhun koi phul aatish-e-tar ka chun mere dard-e-dil ki hadis sun kabhi chhed kar lab-e-jam se jo azal mein tha wahi nur hai ki charagh-e-mahfil-e-tur hai koi rahne wala zarur hai mere dil mein dard ke nam se jo tadap thi kal wahi aaj hai yahi mere dil ka ilaj hai meri zindagi bhi 'siraj' hai isi iztirab-e-dawam se