wo rang-o-bu hai ki aankhon ko sujhta bhi nahin wo phul dil mein makin hai ki jo khila bhi nahin ye teri yaad ki dil se panah mangti hai ye dil ki jis se nikalne ka rasta bhi nahin jo mujh ko dhund raha tha mere makan se dur wo mere dil mein makin ho ke bolta bhi nahin kabhi kabhi to hawas subh-dam uchhaalti hai wo ashk jin mein koi gauhar-e-wafa bhi nahin hum apni khoj mein aisi jagah nikal aae wo mil gaya ki jo kahiye ki tha to tha bhi nahin har aankh barf hui ja rahi hai hasrat se qarib-o-dur koi shoala-e-hina bhi nahin wo jis ke rukh pe zaban hain badi badi aankhen koi qarib se guzre to dekhta bhi nahin meri hi god mein hai aur mujhi se puchhta hai wo nam kya hai ki jo tujh ko bhulta bhi nahin main tera dard samajh lunga kyunki tujh sa hun na hans sake to meri tarah muskura bhi nahin shab-e-firaq sahi us ki aankh to lag jae wo aah kijiye kaise ki jo rawa bhi nahin