wo zamana hai ki ab kuchh nahin diwane mein

wo zamana hai ki ab kuchh nahin diwane mein
nam leta hai junun ka kabhi anjaane mein

qismat apni hai ki hum nauhagari karte hue
karen zanjir-zani dil ke aza-khane mein

kya hue log purane jinhen dekha bhi nahin
ai zamane hamein takhir hui aane mein

in shikasta dar-o-diwar ki surat hum bhi
bahut aaseb-zada honge nazar aane mein

apne aabai makanon se palatte hue hum
kitne nazan hain koi din rahe virane mein

hum to kuchh aur tarah hote the barbaad 'ata'
ab to kuchh aur se haalat hain mai-khane mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close