wo zeb-e-shabistan hua chahta hai ye majma pareshan hua chahta hai buri ho gai shohrat-e-ku-e-jaanan koi khana-viran hua chahta hai tere gham ne sab kaam aasan kiye hain ki marna bhi aasan hua chahta hai chale aate hain sair karte hue wo gulistan gulistan hua chahta hai na dekha karo tum ki ab aaina bhi meri chashm-e-hairan hua chahta hai nikala hai ye rang 'haali' ne 'salik' ki har sher diwan hua chahta hai