waiz milegi KHuld mein kab is qadar sharab

waiz milegi khuld mein kab is qadar sharab
pani ke badle pite hain ai be-khabar sharab

aamad mein us ki mast hue kuchh khabar nahin
saqi hai kaun jam kahan aur kidhar sharab

us qulzum-e-gunah mein duba hua hun main
jis mein hai ek mauja-e-daman-e-tar sharab

masti mein un ko lag gai lau aur ghair ki
deni shab-e-visal na thi is qadar sharab

iqrar-e-wasl aur wo mast-e-ghurur-e-naz
aaya hai pi ke tu kahin ai nama-bar sharab

main ek bar aankh chura kar jo pi gaya
laya na zakhm dhone ko phir chaaragar sharab

karna tha mujh ko hila shikast-e-khumar ka
deni thi khub qabl-e-tulu-e-sahar sharab

rukhsat ka hosh un ko na rahta shab-e-visal
kuchh bolte to ye ki dhari hai kidhar sharab

'salik' mile jo bazm mein us ki to lutf hai
warna piya hi karte hain hum apne ghar sharab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close