wo zulm us ne dhaya hai dil jaanta hai kahan tak mitaya hai dil jaanta hai teri bewafai ne ahl-e-talab par wo sikka jamaya hai dil jaanta hai tumhi kya kisi ko bhi apna bana kar jo sadma uthaya hai dil jaanta hai teri bazm mein hum ne har ek gham ko ba-mushkil dabaya hai dil jaanta hai sar-e-rah-e-ulfat teri be-rukhi mein maza jaisa paya hai dil jaanta hai mohabbat ke saz-e-nigarin pe 'jauhar' jo kuchh hum ne gaya hai dil jaanta hai