wabaal-e-jaan hue wo sare gulsitan ke liye

wabaal-e-jaan hue wo sare gulsitan ke liye
chune the hum ne jo kuchh tinke aashiyan ke liye

qadam qadam pe rah-e-ishq mein thi hairani
azab dil pe na jaane kahan kahan ke liye

falak ke jaur kabhi aur un ke zulm kabhi
hazar gham hain mohabbat mein ek jaan ke liye

kharab-e-ishq bana kar tabah kar dala
sitam na rah gaya jab koi aasman ke liye

wo raaz jis pe mohabbat ka hai madar ai dost
hamare dil ke liye hai teri zaban ke liye

jhuke wo ghair ke dar par bhala ye kab mumkin
jabin jo waqf rahi tere aastan ke liye

mizaj-e-dost mein 'jauhar' na inqalab aaya
rawa rahe hain sitam mujh se be-zaban ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close