wo zulmat-e-shab ka ghalba hai wo yas ke baadal chhae hain

wo zulmat-e-shab ka ghalba hai wo yas ke baadal chhae hain
ab subh bhi subh-e-ummid nahin use gardish-e-dauran kya hoga

diwar-e-chaman pur-zagh-o-zaghan masruf hain naghma-khwani mein
har shakh par ullu baitha hai anjam-e-gulistan kya hoga

aghraaz badhin akhlaq mite guftar rahi kirdar gae
is par bhi kahin thahraw nahin ai qismat-e-insan kya hoga

paband-e-salasil neki hai hasil hai badi ko aazadi
ye shakl gar tamir ki hai takhrib ka unwan kya hoga

kyun zist ka bahr-e-be-payan mahrum hai ab ek mauj se bhi
sadiyon se sukut ek tari hai ai satwat-e-tufan kya hoga

arbab-e-hawas ka jamghat hai is bazm mein koi rind nahin
ai jam-e-zar-afshan kya hoga ai saqi-e-dauran kya hoga

is des mein jo bhi rahzan the wo rahbar-e-millat kahlae
har chor nigahban thahra hai ai qudrat-e-yazdan kya hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close