yun aa ke sham-e-dard ba-rang-e-sahar gai

yun aa ke sham-e-dard ba-rang-e-sahar gai
chehre se mere dhup ghamon ki utar gai

sail ki tarah log safon mein khade mile
jis rahguzar-e-zist pe meri nazar gai

hum rah-rawan-e-shauq ki qismat na puchhiye
manzil jise bhi samjha wo manzil guzar gai

wo jaan-e-arzu ki jo thi sham-e-anjuman
dil dhundhta hai us ko na jaane kidhar gai

ek shakl-e-dilruba jise dekha tha khwab mein
taswir ki tarah mere dil mein utar gai

jis bazm-e-dostan mein sunate the hum ghazal
afsos sad afsos wo mahfil bikhar gai

ab ke bahaar aai hai manind-e-aina
dekha 'kamal' main ne to surat nikhar gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close