wufur-e-shauq mein jab bhi kalam karte hain to harf harf ko husn-e-tamam karte hain ghane darakhton ke sae ki umr lambi ho ki in ke niche musafir qayam karte hain use pasand nahin khwab ka hawala bhi to hum bhi aankh pe ninden haram karte hain na khushbuon ko pata hai na rang jaante hain parind phulon se kaise kalam karte hain rawan-dawan hain hawa par swariyan kaisi jinhen darakht bhi jhuk kar salam karte hain chaman mein jab se use sair karte dekh liya usi ada se ghazalan khiram karte hain ab is ko yaad na hoga hamara chehra bhi tamam shaeri hum jis ke nam karte hain