yun musallat to dhuan jism ke andar tak hai dastaras aankh ki lekin kisi manzar tak hai mud ke dekhun to taaqub mein wahi saya ho bhul jaun mere hamrah koi ghar tak hai main ki viran jazira hun basa de mujh ko ai ki aqlim teri sat samundar tak hai us ke aage mujhe be-samt-o-nishan jaana tha main ne samjha tha safar aakhiri patthar tak hai