wusat-e-daman-e-sahra dekhun apni aawaz ko phaila dekhun hath mein chand ko pighla dekhun khwab dekhun ki kharaba dekhun sath par aks ko bahta dekhun dariya dariya tera saya dekhun khud ko dekhun tera chehra dekhun aaina tod dun phir kya dekhun apne sae ko barahna paun sath ruswai ko hansta dekhun retili dhup mein aate jate mahmil-e-waqt ko thahra dekhun subh ke phul ko hansta pa kar raat ki aankh mein kanta dekhun shahr mein log jise dhundte hain apne ghar mein use baitha dekhun aisa din aae na hargiz 'adil' jaise ji mein use marta dekhun