ya mujhe afsar-e-shahana banaya hota ya mera taj gadayana banaya hota apna diwana banaya mujhe hota tu ne kyun khirad-mand banaya na banaya hota khaksari ke liye garche banaya tha mujhe kash khak-e-dar-e-jaanana banaya hota nashsha-e-ishq ka gar zarf diya tha mujh ko umr ka tang na paimana banaya hota dil-e-sad-chaak banaya to bala se lekin zulf-e-mushkin ka tere shana banaya hota sufiyon ke jo na tha laeq-e-sohbat to mujhe qabil-e-jalsa-e-rindana banaya hota tha jalana hi agar duri-e-saqi se mujhe to charagh-e-dar-e-mai-khana banaya hota shola-e-husn chaman mein na dikhaya us ne warna bulbul ko bhi parwana banaya hota roz mamura-e-duniya mein kharabi hai 'zafar' aisi basti ko to virana banaya hota