ya phir tum KHwabon ke zariye aa jaana

ya phir tum khwabon ke zariye aa jaana
jaise bhi ho lekin milne aa jaana

thodi der mein duniya aane wali hai
tum duniya se thoda pahle aa jaana

ab main apni zat mein batne wala hun
tum chaho to dil ke hisse aa jaana

mujh se milne ka jab bhi ji chahe to
bin kuchh samjhe bin kuchh soche aa jaana

main tum se kuchh dur hi hun gar chaho to
meri jaanib ghumte-phirte aa jaana

us se lad kar is ko satane ka man hai
waqt pe ai kam-zarf irade aa jaana

tera rasta kitna pechida nikla
tu bola tha sidhe sidhe aa jaana


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close