ya-rab hai dil mudam kisi iztirar mein

ya-rab hai dil mudam kisi iztirar mein
kuchh naqsh rah gaya hai tere shahkar mein

ab pad chuki hai khub tamanna ki khu mujhe
tum aa gae ho main hun magar intizar mein

tanhai-e-safar ki aziyyat hai dil-shikan
ab koi rahzan hi mile rahguzar mein

tere sitam pe teri taraf dekh kar hun chup
kitni tawil baat hai is ikhtisar mein

ab ye khula ki wo bhi meri justuju mein the
main jin ko dhundhta tha sawad-e-bahaar mein

gul-rang mai bikher ke rukh par chale hain wo
qaus-e-quzah tulua hui rahguzar mein

'shaukat' bichhad gaya hun usi qafile se main
manzil ghurub ho gai jis ke ghubar mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close