ai kash koi aae kharidar ki tarah apna bhi dil hai misr ke bazar ki tarah jangal ki aag se wo kisi taur kam nahin jo bhi zaban chalti hai talwar ki tarah kal tak jo shahryar tha aur ba-waqar tha ab ji raha hai zindagi nadar ki tarah sab dekhte hain aap ke aamal raat din kije na baat sahib-e-kirdar ki tarah guzra hai hum pe barha aalam judai ka jage hain hum bhi dida-e-bedar ki tarah kahne ko gham-gusar hain is shahr mein bahut milta nahin magar koi gham-khwar ki tarah shayad hamare shahr ka mausam kharab hai jis ko bhi dekho chalta hai bimar ki tarah do pal sukun bahut hai masafat mein dosto wo mehrban hain saya-e-diwar ki tarah kahte hain log us ke hue walwale tamam jo ji raha tha zindagi zardar ki tarah ek ek qatra khun ka faraaz-e-salib se barsa hai dil pe abr-e-guhar-bar ki tarah zakhmon ki fasl apne badan mein samet kar dharti ko kar gaya wo saman-zar ki tarah us se hisab-e-zindagi mangega kaun 'shauq' jita raha jo shahr mein nadar ki tarah