ya sabr ho hamin ko us tarf jo na niklen

ya sabr ho hamin ko us tarf jo na niklen
ya apne ghar se ban ban ye khub-ru na niklen

hoti nahin tasalli dil ko hamare jab tak
do-chaar bar us ke kucha se ho na niklen

dil dhundhne chale hain kuche mein tere apna
darte hain aap ko bhi hum wan se kho na niklen

koi bhi din na guzra aisa ki us gali se
zakhmi ho mubtala ho jo ek do na niklen

dil aur jigar lahu ho aankhon talak to pahunche
kya hukm hai ab aage niklen kaho na niklen

basti mein to dil apna lagta nahin kaho phir
sahra ki tarf kyunkar ai naseho na niklen

gar wo naqab utha de chehre se to 'hasan' phir
kuchh gham nahin mah-o-mehr aalam mein go na niklen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close