yaad aao mujhe lillah na tum yaad karo apni aur meri jawani ko na barbaad karo sharm rone bhi na de bekali sone bhi na de is tarah to meri raaton ko na barbaad karo had hai pine ki ki khud pir-e-mughan kahta hai is buri tarah jawani ko na barbaad karo yaad aate ho bahut dil se bhulane walo tum hamein yaad karo tum hamein kyun yaad karo aasman rutba mahal apne banane walo dil ka ujda hua ghar bhi koi aabaad karo hum kabhi aaen tere ghar magar aaenge zarur tum ne ye wada kiya tha ki nahin yaad karo chandni raat mein gul-gasht ko jab jate the aah azra kabhi us waqt ko bhi yaad karo main bhi shaista-e-altaf-e-sitam hun shayad mere hote hue kyun ghair pe bedad karo sadqe us shokh ke 'akhtar' ye likha hai jis ne ishq mein apni jawani ko na barbaad karo