shahr kya dekhen ki har manzar mein jale pad gae aisi garmi hai ki pile phul kale pad gae main andheron se bacha laya tha apne-ap ko mera dukh ye hai mere pichhe ujale pad gae jin zaminon ke qabaale hain mere purkhon ke nam un zaminon par mere jine ke lale pad gae taq mein baitha hua budha kabutar ro diya jis mein dera tha usi masjid mein tale pad gae koi waris ho to aae aur aa kar dekh le zill-e-subhani ki unchi chhat mein jale pad gae