yaad dilao mat un ko wo raat aur din chain unhen ab aa jata hai mere bin machhli kaise rahti hai pani ke bin haal se mere khub hain wo waqif lekin larzida lab par tha bhula to na doge hamein nam-dida aankhon ne kaha tha na-mumkin dil ke do harfon jaise hi ek hain hum ek mutharrik har lamha aur ek sakin chehre se zahir hai dil ki kaifiyyat kitna chhupaega koi aks-e-baatin kis kis ki baaton mein dil aa jata hai kis ko pata hai kab aaenge achchhe din matam-pursi mat kar ai munh-zor hawa kitne patte tute ab tadad na gin ehsanat lutae jate hain 'raghib' sabz darakhton jaise hain mere mohsin