safar bhi dur ka hai rah aashna bhi hain chala udhar ko hun jis samt ki hawa bhi nahin guzar raha hun qadam rakh ke apni aankhon par gae dinon ki taraf mud ke dekhta bhi nahin mera wajud meri zindagi ki had na sahi kabhi jo tai hi na ho main wo fasla bhi nahin faza mein phail chali meri baat ki khushbu abhi to main ne hawaon se kuchh kaha bhi nahin samajh raha hun 'muzaffar' use sharik-e-safar jo mere sath qadam do qadam chala bhi nahin