yaad-e-ayyame koi wajh-e-pareshani to thi aankh yun khali nahin thi is mein hairani to thi lab pe mohr-e-khamushi pahle bhi lagti thi magar aah ki rukhsat to thi ashkon ki arzani to thi thi nazar ke samne kuchh to talafi ki umid khet sukha tha magar dariya mein tughyani to thi bazm se utthe to kya khalwat mein ja baithe to kya tark-e-duniya par bhi duniya jaani-pahchani to thi dard ek jauhar hai paikar se gharaz rakhta nahin aankh mein aansu na the lab par ghazal-khwani to thi