yaad-e-mazi ki meri laghzish-e-pa ho jaise

yaad-e-mazi ki meri laghzish-e-pa ho jaise
aur ye karb ka ehsas saza ho jaise

tujh se duri kisi majzub ki manfi baaten
tera milna kisi salik ki dua ho jaise

muddaton se hai wahi shab ki masafat jari
karwan samt-e-safar bhul gaya ho jaise

ab to chehron se wo aasar-e-rifaqat bhi gae
har koi paikar-e-ehsas-e-ana ho jaise

tohmaten aisi ki ye soch raha hun khud bhi
umr ke sath mera qad bhi ghata ho jaise

muzmahil sa nazar aata hai mera zauq-e-jamal
wo bhi is dhup mein ta-der raha ho jaise

kab tak aakhir main chalun samt-e-mukhalif ki taraf
aane wala bhi koi aabla-pa ho jaise

meri aankhon ki nami kahne lagi hai koi baat
aaina mujh se nazar pher raha ho jaise

zindagi ab tera mauzu-e-sukhan mere yahan
ek tuta hua paiman-e-wafa ho jaise

kab pata dete hain phulon ko khilane wale
hum samajhte hain ki faizan-e-saba ho jaise


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close