ye tajraba bhi hai humne faqat suna hi nahin

ye tajraba bhi hai hum ne faqat suna hi nahin
guman shauq se badh kar yaqin hua hi nahin

hawa hai tez to ho baadban khule hi rahen
khuda bhi hai mere hamrah nakhuda hi nahin

ye aur baat andhere hain meri aankhon mein
charagh-e-dil to kisi daur mein bujha hi nahin

chamakne wale sitare bahut ghanimat hain
ye gham-gusar bhi hain dard-ashna hi nahin

hum un ki baat ko phir aaj mo'atabar jaanen
ki ji bahalne ka ab aur rasta hi nahin

bulandiyon hi pe aksar hamein nazar aaya
magar wo shakhs kabhi shahr mein mila hi nahin

faza mein kitne khayalon ki gard udti hai
'rabab' ab koi ye baat sochta hi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close